Indian Film History

Claim/Create Profile
Claim/Create

Muskura Do Lyrics | Drishyam The Conclusion

                        
                        Khwaab Aankhon Mein
Sajaaye Maine Teri Chaahaton Ke
Tere Aane Se Mile Hain Mujhe
Pal Ye Raahaton Ke


Banke Khushbuon Sa Tu Mujh Mein Bikhra Hai
Aasmaan Ka Chand Mere Dil Mein Utra Hai

Hai Aaina Tu Khwaabon Ka Mere
Dekha Tha Jaisa Tu Hai Wahi
Honge Hazaaron Chehre Jahaan Mein
Par Tere Jaisa Koi Nahin

Band Aankhon Se Bhi Dikhe Tera Chehra Hai
Aasmaan Ka Chand Mere Dil Mein Utra Hai


Shaam Savere Roz Khuda Se
Teri Ibaadat Karta Hoon
Laakh Duaaon Se Tu Mila Hai
Khone Se Tujhko Darta Hoon


Syah Raaton Se Bhi Ishq Ye Gehra Hai
Aasmaan Ka Chand Mere Dil Mein Utra Hai
Khwab Aankhon Mein Hmm Mm

Tere Aane Se Mile Hain Mujhe Pal Ye Raahaton Ke
Banke Khushbuon Sa Tu Mujh Mein Bikhra Hai
Aasmaan Ka Chand Mere Dil Mein Utra Hai.