Indian Film History

Claim/Create Profile
Claim/Create

Yeh Bawla Hai Lyrics | Nakhrewaalii

Lyricist : Vayu
Music Director : Rahul Shanklya , Tanishk Bagchi
Singer : Papon
                        
                        Jaane Ye Mausamon Ka Kya Karam Hai
Jaade Mein Oon Jaisa Kuch Naram Hai
Kya Hai Jo Dil Ko Aajkal Bharam Hai?

Woh Jugnu Ki Gintiyaa Karta Hai
Taaron Se Roz Vintiyaa Karta Hai
Maan Leta Hai Ye Galtiyaa Chupchaap Hi
Tumko Jo Sahi Lage Bawla Hai Poora

Jaane Ye Mausamon Ka Kya Karam Hai
Jo Jaade Mein Oon Jaisa Kuch Naram Hai


Jaise Tere Siwa Na Baat Aur Koi Ho Padti Kaan Pe
Dil Bhi Dhadak Raha Hai Aajkal Mera Nayi Zubaan Mein
Khayaalon Mein Bhari Hai Sirf Titliyaan
Deewaaron Mein Khuli Nayi Si Khidkiyaan


Ye Shaayari Ki Koshishein Karta Hai
Dil Bas Teri Khwaahishein Karta Hai
Mujhse Karta Hai Sifaarishein Us Khwaab
Tumko Jo Sahi Lage Bawla Hai Poora

Jaane Ye Mausamon Ka Kya Karam Hai
Jaade Mein Oon Jaisa Kuch Naram Hai.....